ajib tajraba tha bhiD se guzarne ka
use bahana mila mujh se baat karne ka
phir ek mauj-e-tah-e-ab us ko khinch gai
tamasha KHatm hua Dubne ubharne ka
mujhe KHabar hai ki rasta mazar chahta hai
main KHasta-pa sahi lekin nahin Thaharne ka
thama ke ek bikharta gulab mere hath
tamasha dekh raha hai wo mere Darne ka
ye aasman mein siyahi bikher di kis ne
hamein tha shauq bahut us mein rang bharne ka
khaDe hon dost ki dushman safen sab ek si hain
wo jaanta hai idhar se nahin guzarne ka
nigah ham-safaron par rakhun sar-e-manzil
ki marhala hai ye ek dusre se Darne ka
lapak lapak ke wahin Dher ho gae aaKHir
jatan kiya to bahut sath se ubharne ka
karan karan na saza koi sair karne ki
safar safar na koi hadsa guzarne ka
kisi maqam se koi KHabar na aane ki
koi jahaz zamin par na ab utarne ka
koi sada na samaat pe naqsh hone ki
na koi aks meri aankh mein Thaharne ka
na ab hawa mare sine mein sansanane ki
na koi zahr meri ruh mein utarne ka
koi bhi baat na mujh ko udas karne ki
koi suluk na mujh pe giran guzarne ka
bas ek chiKH giri thi pahaD se yak-laKHt
ajab nazara tha phir dhund ke bikharne ka
Ghazal
Ajib tajraba tha bhiD se guzarne ka
Rajinder Manchanda Bani