ajib manzar-e-baala-e-baam hota hai 
jab aashkar wo mah-e-tamam hota hai 
hiras-e-shab, asar-e-zoaf, KHauf-e-rahzanan 
musafiron pe giran waqt-e-sham hota hai 
bas ek nigah pe hai dil ka faisla mauquf 
bas ek nigah mein qissa tamam hota hai 
jab apne ghar pe bulata hun main kabhi un ko 
unhen zarur koi KHas kaam hota hai 
jawab de nahin sakti zaban-e-shauq meri 
kuchh is ada se koi ham-kalam hota hai 
rah-e-junun mein lipaTte hain panw se kanTe 
ba-har qadam ye mera ehtiram hota hai 
nazar nazar pe sar-e-bazm hai nazar un ki 
nazar nazar mein salam-o-payam hota hai 
'nasir' ahl-e-wafa ke baDe maraatib hain 
bahut buland wafa ka maqam hota hai
        Ghazal
Ajib manzar-e-baala-e-baam hota hai
Peer Nasiruddin Shah Naseer

