ajib karb-o-bala ki hai raat aankhon mein
sisakti pyas labon par furaat aankhon mein
tumhein to gardish-e-dauran ne raund Dala hai
rahi na koi bhi pahli si baat aankhon mein
qatar-war sitaron ki jagmagahaT se
saja ke lae hain gham ki baraat aankhon mein
phir us ko daman dil mein kahan kahan rakkhen
sameT sakte hain jo kaenat aankhon mein
bikhar gae hain milan ke tamam din 'haidar'
Thahar gai hai judai ki raat aankhon mein
Ghazal
Ajib karb-o-bala ki hai raat aankhon mein
Haidar Qureshi