اردو हिंदी
Ajib haal hai sahra-nashin hain ghar wale | Shaahi Shayari
ajib haal hai sahra-nashin hain ghar wale

Ghazal

Ajib haal hai sahra-nashin hain ghar wale

Hasan Aziz

;

ajib haal hai sahra-nashin hain ghar wale
gharon mein baiTh gae hain idhar-udhar wale

nawah-e-jism nahin garche regzar se kam
yahan bhi KHitte kai hain hare shajar wale

agarche shor bahut hai dar-e-dua pe magar
zabanen band kiye baiThe hain asar wale

hai rah-e-jaan yunhi sunsan ek muddat se
na gard uDi na dikhai diye safar wale

baghair aankh ke chehron ka ab chalan hai yahan
wo din gae ki hua karte the nazar wale

abhi main shahr ko sahra banae deta hun
ki mere hath bhi kuchh kam nahin hunar wale

simaT ke rah gae ab chand saaton mein 'hasan'
yahi the kaam kisi waqt umr-bhar wale