ajib dard ka rishta tha sab ke sab roe
shajar gira to parinde tamam shab roe
kisi ka bhi na charaghon ki samt dhyan gaya
shab-e-nashat wo kab kab bujhe the kab roe
hazar girya ke pahlu nikalne wale hain
use kaho ki wo yunhi na be-sabab roe
hamare zad-e-safar mein bhi dard rakkha gaya
so hum bhi TuT ke roe safar mein jab roe
kisi ki aankh hi bhigi na sail-e-dard gaya
tumhaari yaad mein ab ke baras ajab roe
tere KHayal ki lau hi safar mein kaam aai
mere charagh to lagta tha roe ab roe
kuchh apna dard hi 'tariq'-naim aisa tha
baghair mausam-e-girya bhi hum ghazab roe
Ghazal
Ajib dard ka rishta tha sab ke sab roe
Tariq Naeem