ajab tilism hai nairang-e-jawedani ka
ki TuTta hi nahin nashsha KHud-gumani ka
safar tamam hua jab sarab ka to khula
ajib zaiqa hota hai ThanDe pani ka
jahan pe KHatm wahin se shurua hoti hai
tabhi to zikr-e-musalsal hai is kahani ka
kidhar Dubo ke kahan par ubhaarta hai tu
ye kaisa rang hai dariya teri rawani ka
wo mujh mein ab bhi wahi hausle talashta hai
kahan se DhunD ke laen badal jawani ka
Ghazal
Ajab tilism hai nairang-e-jawedani ka
Shoaib Nizam