ajab surur mila hai mujhe dua kar ke
ki muskuraya KHuda bhi sitara wa kar ke
gada-gadi bhi ek uslub-e-fan hai jab main ne
usi ko mang liya us se iltija kar ke
shab-e-firaq ke har jabr ko shikast hui
ki main ne subh to kar li KHuda KHuda kar ke
ye soch kar ki kabhi to jawab aaega
main us ke dar pe khaDa rah gaya sada kar ke
ye chaara-gar hain ki ek ijtima-e-bad-zauqan
wo mujh ko dekhen teri zat se juda kar ke
KHuda bhi un ko na baKHshe to lutf aa jae
jo apne-ap se sharminda hun KHata kar ke
KHud apni zat pe to e'timad puKHta hua
'nadim' yun to mujhe kya mila wafa kar ke
Ghazal
Ajab surur mila hai mujhe dua kar ke
Ahmad Nadeem Qasmi