ajab si koi be-yaqin raat thi
kahin thoDa din tha kahin raat thi
giraftar thi dard-e-zeh mein bahut
wo taKHliq ki awwalin raat thi
thin chizen jahan shakl pane ke baad
wahin din bhi tha aur wahin raat thi
kahan thi ye jab tak ki zahir na thi
falak par ki zer-e-zamin raat thi
mere sath jo mere bistar mein thi
wo sab se zyaada hasin raat thi
nikalti thi jo raushni dekhne
kisi tera ghar ki makin raat thi
mile bhi to bikhre hue mah o sal
kahin din paDa tha kahin raat thi
kisi KHar manind chubhti rahi
ba-zahir baDi maKHmalin raat thi
tha naraaz din mere ek feal par
kisi baat par KHashm-gin raat thi
zyaada hi gahri thi 'shahin' shafaq
baDi der tak aatishin raat thi
Ghazal
Ajab si koi be-yaqin raat thi
Javed Shaheen