ajab si aaj-kal main ek pareshani mein hun yaro
yahi mushkil meri hai bas main aasani mein hun yaro
mujhe un jhil si aankhon mein yun bhi Dubna hi hai
na puchho barha kitne mein ab pani mein hun yaro
na surat wasl ki koi na koi hijr ka gham hai
main ab ke bar kuchh aisi hi virani mein hun yaro
mujhe lagta tha mumkin hi nahin hai us ke bin jina
main zinda hun magar muddat se hairani mein hun yaro
badan ka pairahan chhoTa mujhe paDne laga itna
main khul kar sans lene ko bhi uryani mein hun yaro
KHuda ne rakh diya mujh ko usi ke dil mein jaane kyun
na bahon mein hun main jis ki na peshani mein hun yaro
usi ek 'ashna' ko DhunDhti har pal meri aankhen
main rahta raat-din jis ki nigahbani mein hun yaro

Ghazal
Ajab si aaj-kal main ek pareshani mein hun yaro
Vineet Aashna