ajab pur-lutf manzar dekhta rahta hun barish mein
badan jalta hai aur main bhigta rahta hun barish mein
sadaen Dub jati hain hawa ke shor mein aur main
gali-kuchon mein tanha chiKHta rahta hun barish mein
dariche mein dar aate hain bahut se mehrban chehre
main un par shoKH jumle phenkta rahta hun barish mein
diye jalte hain, bujhte hain, mere atraf mein aur main
bas ek sae ke pichhe bhagta rahta hun barish mein
pas-e-qaus-e-quzah ek surat-e-mahtab ki jhilmil
main is jhilmil ko pahron dekhta rahta hun barish mein
na sona mere bas mein hai, na shab bhar jagna 'KHalid'
main aankhen kholta aur michta rahta hun barish mein
Ghazal
Ajab pur-lutf manzar dekhta rahta hun barish mein
Khalid Moin