ajab ek taur hai jo hum sitam ijad rakhen
ki na us shaKHs ko bhulen na use yaad rakhen
ahd is kucha-e-dil se hai so us kuche mein
hai koi apni jagah hum jise barbaad rakhen
kya kahen kitne hi nukte hain jo barte na gae
KHush-badan ishq karen aur hamein ustad rakhen
be-sutun ek nawahi mein hai shahr-e-dil ki
tesha inam karen aur koi farhad rakhen
aashiyana koi apna nahin par shauq ye hai
ek qafas laen kahin se koi sayyaad rakhen
hum ko anfas ki apne hai imarat karni
is imarat ki labon par tere buniyaad rakhen
Ghazal
Ajab ek taur hai jo hum sitam ijad rakhen
Jaun Eliya