ajab hain surat-e-haalat ab ke
hui barsat mein barsat ab ke
badan mein phul bhi chubhne lage hain
bahut nazuk hain ehsasat ab ke
zara chaukanna chaukanna hun main bhi
hai duniya bhi lagae ghat ab ke
bana dunga tere chehre ka jhumar
laga jo chand mere hath ab ke
lagi hai shart mere aansuon ki
samundar ko milegi mat ab ke
'salim' alfaz bude lag rahe hain
hai aisi shiddat-e-jazbaat ab ke
Ghazal
Ajab hain surat-e-haalat ab ke
Sardar Saleem