aisi tan-asani se
baz aa ja nadani se
jina mushkil hota hai
itni nukta-dani se
sahra bhi sharmata hai
is dil ki virani se
laj kahan tak aaegi
KHwabon ki uryani se
pyas nahin bujh pati hai
dariya ki darbani se
pichha kaun chhuDa paya
is duniya-diwani se
Ghazal
Aisi tan-asani se
Obaid Siddiqi