aisi KHushbu tu mujhe aaj mayassar kar de
jo mera dil mera ehsas moattar kar de
KHushk phir hone lage zaKHm dil-e-bismil ke
apni chahat ki nami de ke unhen tar kar de
wusat-e-dil ko zara aur baDha de yarab
ye jo gagar hai ise pyar ka sagar kar de
aahaTen nind ki jo sunne ko tarse aankhen
wo hi bachpan ki tarah farsh ko bistar kar de
muntazir main hun 'suman' koi kahin se aa kar
dil abhi tak jo makan hai wo use ghar kar de

Ghazal
Aisi KHushbu tu mujhe aaj mayassar kar de
Suman Dhingra Duggal