aish-e-rafta ne bahut KHun rulaya hai mujhe
phul ki sej ne kanTon pe sulaya hai mujhe
de ke ek shoala-e-guftar jagaya hai mujhe
ahd-e-KHwabida ne be-dard banaya hai mujhe
zard-ru KHar bhi hai aashiq-e-salma-e-bahaar
shoKH kaliyon ne ishaaron mein bataya hai mujhe
TuTta hi nahin rangini-e-KHwahish ka tilism
ism-e-azam ka amal bhi to sikhaya hai mujhe
KHun-e-mazlum akarat to nahin ja sakta
zaKHm-e-gul-rez ne phulon se sajaya hai mujhe
shayad is daur ka shiw-ji hi samajh kar 'jawed'
waqt ne zist ka sab zahr pilaya hai mujhe
Ghazal
Aish-e-rafta ne bahut KHun rulaya hai mujhe
Javed Vashisht