aise hijr ke mausam kab kab aate hain
tere alawa yaad hamein sab aate hain
jagti aankhon se bhi dekho duniya ko
KHwabon ka kya hai wo har shab aate hain
jazb kare kyun ret hamari ashkon ko
tera daman tar karne ab aate hain
ab wo safar ki tab nahin baqi warna
hum ko bulawe dasht se jab tab aate hain
kaghaz ki kashti mein dariya par kiya
dekho hum ko kya kya kartab aate hain
Ghazal
Aise hijr ke mausam kab kab aate hain
Shahryar