اردو हिंदी
Ain-mumkin hai kisi tarz-e-ada mein aae | Shaahi Shayari
ain-mumkin hai kisi tarz-e-ada mein aae

Ghazal

Ain-mumkin hai kisi tarz-e-ada mein aae

Aslam Ansari

;

ain-mumkin hai kisi tarz-e-ada mein aae
qissa-e-dard-e-wafa saut-o-sada mein aae

rut badalte hi nae rang ke manzar ubhre
kuchh parinde bhi nai mauj-e-hawa mein aae

hum to aaina-numa the hi safa-keshi mein
nam kuchh aur bhi arbab-e-safa mein aae

ishq ta-haal to matruk nahin ho paya
inqilabaat bhi go rah-e-wafa mein aae

kuchh gul-e-nilofari jhil ki tariki se
apni danist mein aqlim-e-baqa mein aae

kya kahen us ko tazadat-e-zamana ke siwa
kitne darwesh the jo shahi qaba mein aae

KHwab aankhon mein liye hum bhi ba-taid-e-junun
kaise ek jalwa-gah-e-KHwab-numa mein aae

shorish-e-ahd mein ye tazkira-e-ishq-e-wafa
jaise naghma sa koi bang-e-dara mein aae

KHud ko gum kar ke kisi aur ke pa lene tak
marhale aur bhi takmil-e-ana mein aae