ai umr-e-naz tujh ko guzare guzar na tha 
hum boriya-nashinon ka koi bhi ghar na tha 
duniya-e-hast-o-bud mein mere siwa tujhe 
sab qabil-e-qubull the main mo'atabar na tha 
ye dil jo mere sine mein bajta hai raat-din 
wo dard sah chuka hai ki jo muKHtasar na tha 
ek chand ro raha tha sar-e-asman-e-ishq 
taron ki anjuman mein koi chaaragar na tha 
ye shor-o-ghalghala hai ki luTta hai mai-kada 
kya wan pe koi 'ghaalib'-e-ashufta-sar na tha 
the andarun-e-zat kai lakh hadsat 
lekin tumhaari yaad se dil be-KHabar na tha 
imkan chahaar su tha safar ka magar 'qamar' 
tanha khaDa hua tha koi ham-safar na tha
        Ghazal
Ai umr-e-naz tujhko guzare guzar na tha
Qamar Abbas Qamar

