ai tassub zada duniya tere kirdar pe KHak
bughz ki gard mein lapTe hue mear pe KHak
ek arse se mari zat mein aabaad hai dasht
ek arse se paDi hai dar-o-diwar pe KHak
wo ghazalon se abhi sikh ke ram lauTa hai
baal hain dhul mein gum aur lab-o-ruKHsar pe KHak
mujhe palkon se safai ki saadat ho nasib
Dal kar jae hua roz dar-e-yar pe KHak
ek KHutba jo diya hazrat-e-zainab ne 'KHayal'
aaj tak Dal raha hai kisi darbar pe KHak
Ghazal
Ai tassub zada duniya tere kirdar pe KHak
Ahmad Khayal