ai sitam-azma jafa kab tak
kushta-e-zindagi wafa kab tak
garmi-e-koshish-e-jafa kab tak
dawa-e-shohrat-e-wafa kab tak
ai dil-e-zohd-KHu riya kab tak
na-muradana muddaa kab tak
ek mein mil gaya KHuda mara
yun nibahega dusra kab tak
imtihan par ye imtihan ta-chand
aazma aazmaega kab tak
hasrat aaegi dam mein sau sau bar
ai hawas shor-e-marhaba kab tak
qudrat-e-sabr aaqibat kitni
jurat-e-taqat-azma kab tak
tum samajh jao meri KHamoshi
na kahun kahiye muddaa kab tak
kijiye ab mere nibah ki fikr
yar sabr-e-gurez-pa kab tak
KHwab mein bhi wo aaenge ta-chand
main mila bhi to yun mila kab tak
dil mein kab tak tumhaare khaTkunga
chashm-e-dushman mein meri ja kab tak
tandurusti-e-dil hai be-jaani
dard-e-be-dard ki dawa kab tak
tark ki saf us ne goyai
nargis-e-surma-sa KHafa kab tak
ai dil-e-be-qarar-o-be-aram
nala ta-chand ta-kuja kab tak
ai 'qalaq' wasl mein bhi hun nashad
tala-e-na-rasa rasa kab tak
Ghazal
Ai sitam-azma jafa kab tak
Ghulam Maula Qalaq