اردو हिंदी
Ai sail-e-ab Thahar ab ke gardanon tak rah | Shaahi Shayari
ai sail-e-ab Thahar ab ke gardanon tak rah

Ghazal

Ai sail-e-ab Thahar ab ke gardanon tak rah

Javaid Anwar

;

ai sail-e-ab Thahar ab ke gardanon tak rah
tanon ki taKHtiyan dhoni hain bas tanon tak rah

jahan hai shahr wahan dur tak darinde hain
ghazal, ghazal ke honTon pe aa banon tak rah

gali mein tak mein baiThe hain tifl-e-sang-ba-dast
ai meri KHwahish-e-ayyar aanganon tak rah

bahut se kaam hain jin se nipaTna baqi hai
visal-rut to baDi shai hai sawanon tak rah

hawa mein tir chalane se faeda 'jawed'
teri jab aankhen khuli hain to dushmanon tak rah