ai musawwir jo meri taswir khinch 
hasrat-agin gham-zada dil-gir khinch 
jazb bhi kuchh ai tasawwur chahiye 
KHud khinche jis shoKH ki taswir khinch 
ai mohabbat dagh-e-dil murjha na jaen 
itr in phulon ka be-taKHir khinch 
aa buton mein dekh zahid shan-e-haq 
dair mein chal nara-e-takbir khinch 
ek saghar pi ke buDha ho jawan 
wo sharab ai mai-kade ke pair khinch 
dil na us but ka dukhe kahta hai ishq 
khinch jo nala wo be-tasir khinch 
dil idhar betab hai tarkash udhar 
khinchta hun aah main tu tir khinch 
kuchh to kaam aa hijr mein o iztirab 
shoKHi-e-mahbub ki taswir khinch 
qais se dasht-e-junun mein kah 'jalal' 
aage aage chal mere zanjir khinch
        Ghazal
Ai musawwir jo meri taswir khinch
Jalal Lakhnavi

