ai miyan kaun ye kahta hai mohabbat ki hai
baat ye hai ki yahan baat zarurat ki hai
phir koi chaak gareban liye phirta hai
hazrat-e-ishq ne phir koi shararat ki hai
bas yunhi ek hayula sa nazar aaya tha
aur phir dil ne dhaDakne ki jo shiddat ki hai
wo meri chah ka waise bhi talabgar na tha
phir mere dil ne sambhalne mein bhi ujlat ki hai
hum bahut dur chale aae hain basne ko 'ata'
is se pahle bhi bahut dur se hijrat ki hai
Ghazal
Ai miyan kaun ye kahta hai mohabbat ki hai
Ahmad Ata