اردو हिंदी
Ai mere zaKHm-e-dil-nawaz gham ko KHushi banae ja | Shaahi Shayari
ai mere zaKHm-e-dil-nawaz gham ko KHushi banae ja

Ghazal

Ai mere zaKHm-e-dil-nawaz gham ko KHushi banae ja

Arzoo Lakhnavi

;

ai mere zaKHm-e-dil-nawaz gham ko KHushi banae ja
aaankhon se KHun bahae ja honTon se muskurae ja

jaane se pahle bewafa shab ko sahar banae ja
dil ko bujha ke kya chala shama ko bhi bujhae ja

sans ka tar TuT jae TuTe na tar aah ka
ek hi lai pe gae ja ek hi dhun bajae ja

hukm-e-talab ke muntazir shauq ki aabru na kho
sar ko qadam bana ke chal aaankhon se be-bulae ja

le wo dawa-e-talKH hai jis ka asar hai KHush-gawar
pine mein munh banae ja dil mein maze uThae ja

joshish-e-chashm-e-ashk-bar muft na rakh karam ka bar
meri lagi to bujh chuki apni lagi bujhae ja

manzil-e-be-KHudi-e-shauq hadd-e-nazar se dur hai
pichhe palaT ke bhi na dekh aage qadam baDhae ja

ek hama-tan hai pa-e-naz ek hama-tan sar-e-niyaz
ye to chalan jahan ka hai jitna de dabae ja

zarf-e-sharab tere pas zuruf-e-surur mere pas
dil to nahin ba-qadr-e-jam dekh na munh pilae ja

donon hain naz-e-dilbari zid mein hai jin ki aur lutf
ek taraf lagae ja ek taraf bujhae ja

chand mein gum chakor KHud chand kahin chhupa hua
apni talash KHatm kar us ka pata lagae ja

'arzu' us se kah do saf gham ka asar hai der-pa
jald hansi na aaegi aur abhi gudgudae ja