ai mauj-e-saba soz-e-mujassam use kahna
mumkin hai wo puchhe mera aalam use kahna
chaha mere haalat ne paiham use kahna
lekin na hui pyar ki lau kam use kahna
ek hum hi nahin shaki-e-alam use kahna
ab ahl-e-tarab ko bhi hai ye gham use kahna
shayad kabhi paD jae kisi taur zarurat
milte hain sar-e-rahguzar hum use kahna
tu kis liye naraaz hua ahl-e-wafa se
duniya to hamesha se hai barham use kahna
kahna to bahut kuchh hai magar maslahat-e-waqt
be-ab se hain shoala-o-shabnam use kahna
mana ki mere dam se nahin bazm ki raunaq
phir bhi to ghanimat hai mera dam use kahna
Ghazal
Ai mauj-e-saba soz-e-mujassam use kahna
Nikhat Barelvi