ai masiha-dam tere hote hue kya ho gaya
baiThe-biThlae mariz-e-ishq ThanDa ho gaya
yun mera soz-e-jigar duniya mein ruswa ho gaya
sher-o-naghma rang-o-nikhat jam-o-sahba ho gaya
chaaragar kis kaam ki baKHiya-gari teri ki ab
aur bhi chaak-e-jigar mera huwaida ho gaya
hai teri zulf-e-pareshan ya mari diwangi
jo tamasha karne aaya KHud tamasha ho gaya
hae ye taza hawa gulshan mein kaisi chal paDi
bulbul-e-bagh-o-bahaaran ru-ba-sahra ho gaya
umr-bhar ki mushkilen pal bhar mein aasan ho gain
un ke aate hain mariz-e-ishq achchha ho gaya
kya mere zaKHm-e-jigar se khil uThi hai chandni
kin charaghon se zamane mein ujala ho gaya
har tarah mayus aur mahrum ho kar pyar se
jis ke tum pyare the wo maula ko pyara ho gaya
hum gunahgaron ki laghzish hashr mein kaam aa gai
chashm-e-nam ka daman-e-tar ko sahaara ho gaya
ek meri shaKH-e-nasheman phunkne ke waste
kis ki kaj-fahmi se ghar-bhar mein ujala ho gaya
ab shafaq ya abr ka 'gulzar' kyun ho intizar
un ki aankhon se jo pine ka ishaara ho gaya
Ghazal
Ai masiha-dam tere hote hue kya ho gaya
Gulzar Dehlvi