ai mah-e-hijr kya kahen kaisi thakan safar mein thi
rup jo rahguzar mein the dhup jo rahguzar mein thi
lafz ki shakl par na ja lafz ke rang bhi samajh
ek KHabar pas-e-KHabar aaj ki har KHabar mein thi
raat fasil-e-shahr mein ek shigaf kya mila
KHun ki ek lakir si subh nazar nazar mein thi
meri nigah mein bhi KHwab teri nigah mein KHwab
ek hi dhun basi hui asr-e-rawan ke sar mein thi
shahr pe ratjagon se bhi bab-e-ufuq na khul saka
wusat-e-baam-o-dar 'najib' wusat-e-baam-o-dar mein thi

Ghazal
Ai mah-e-hijr kya kahen kisi thakan safar mein thi
Najeeb Ahmad