ai KHub-ru farishta siyar-anjuman mein aa
sarw-e-rawan-e-husn hamare chaman mein aa
munh bandh kar kali sa na rah mere pas tu
KHandan ho kar ke gul ki sifat Tuk suKHan mein aa
ushshaq jaan-ba-kaf khaDe hain tere aas-pas
ai dil-ruba-e-ghaarat-e-jaan apne fan mein aa
duri na kar kanar sun meri tu ai huma
kab lag rahega dur tak apne watan mein aa
tere milap bin nahin 'faez' ke dil ko chain
jiyun ruh ho basa hai tu us ke badan mein aa
Ghazal
Ai KHub-ru farishta siyar-anjuman mein aa
Sadruddin Mohammad Faez