ai junun phir mere sar par wahi shamat aai
phir phansa zulfon mein dil phir wahi aafat aai
mar ke bhi jazb-e-dil-e-qais mein tasir ye thi
KHak uDati hui laila sar-e-turbat aai
masjiden shahr ki ai pir-e-mughan KHali hain
mai-kade mein to jamaat ki jamaat aai
wo hai khiDki mein udhar bhiD nazar-bazon ki
aaj us kuche mein sunte hain qayamat aai
kabhi ji bhar ke watan mein na rahe hum 'asi'
roz-e-milad se taqdir mein ghurbat aai

Ghazal
Ai junun phir mere sar par wahi shamat aai
Aasi Ghazipuri