اردو हिंदी
Ai junun hath ke chalte hi machal jaunga | Shaahi Shayari
ai junun hath ke chalte hi machal jaunga

Ghazal

Ai junun hath ke chalte hi machal jaunga

Bayan Meeruti

;

ai junun hath ke chalte hi machal jaunga
main gareban se pahle hi nikal jaunga

wo haTe aankh ke aage se to bas surat-e-aks
main bhi us aaina-KHane se nikal jaunga

mehr tum soKHta main shisha-e-atish hai raqib
us pe Daloge tajalli to main jal jaunga

mujh se kahta hai mera dud-e-jigar surat-e-shama
dil mein rokoge to main sar se nikal jaunga

shama-san barsar-e-mahfil na jala dekh mujhe
phail jaunga sitamgar jo pighal jaunga

Thahar ai mehr zara subh-e-shab-e-wasl hai aaj
baam par dhup chaDhegi to main Dhal jaunga

rokta hun kabhi shoKHi se to har tifl-e-sarishk
ro ke kahta hai abhi ghar se nikal jaunga

kar-e-imroz ba-farda ma-guzar ai waiz
aaj is kuche mein hun KHuld mein kal jaunga

kaun uThaega ilahi shab-e-gham ki uftad
munh ko aata hai kaleja ki nikal jaunga

le ke aankhon mein tera jalwa kahan jaega
ghair ko dekh ke main aankh badal jaunga

har tarah hath mein hon gosha-e-daman ki tarah
wo sambhaalenge jo mujh ko to sambhal jaunga