اردو हिंदी
Ai hazrat-e-isa nahin kuchh ja-e-suKHan ab | Shaahi Shayari
ai hazrat-e-isa nahin kuchh ja-e-suKHan ab

Ghazal

Ai hazrat-e-isa nahin kuchh ja-e-suKHan ab

Shola Aligarhi

;

ai hazrat-e-isa nahin kuchh ja-e-suKHan ab
wo aa gae rakhwaiye tah kar ke kafan ab

sincha gaya phula hai nae sar se chaman ab
ashkon ne kiye sabz mere dagh-e-kuhan ab

wo shauq-e-asiri khule gesu ke shikan ab
tarsenge qafas ke liye murghan-e-chaman ab

KHamoshi ne madum kiya aur dahan ab
tum hi kaho baqi rahi kya ja-e-suKHan ab

yaran-e-watan ko hai gharibon se kinara
ghurbat ka taqaza hai karo tark-e-watan ab

sun lijiye kuchh qissa-e-betabi-e-dil ko
jo ji mein ho kah lijiye phir mushfiq-e-man ab

simab banaya but-e-hijran ne jigar ko
dil Thaharne deti nahin sina ki jalan ab

aaKHir koi had bhi teri ai duri-e-ghurbat
mayus hue jate hain yaran-e-watan ab

kya fikr hai ai 'shola' piyo baada-e-rangin
Dalo bhi kahin bhaD mein ye ranj-o-mehan ab