ai hawa tu hi nahin main bhi hun
KHak uData to yahin main bhi hun
sirf aabaad nahin sannaTa
is KHarabe ka makin main bhi hun
in sitaron mein kahin tum bhi ho
in nazaron mein kahin main bhi hun
kya tha jo dasht-nashin tha majnun
kya hai jo gosha-nashin main bhi hun
shad-abaad zamin kis se hai
naz-bardar-e-zamin main bhi hun
ya to kuchh bhi nahin maujud yahan
ya mujhe hosh nahin main bhi hun
Ghazal
Ai hawa tu hi nahin main bhi hun
Kashif Husain Ghair