ai haq-sarisht aaina-e-haq-numa hain hum
ai ibtida-e-kar teri intiha hain hum
tum kya ho ishwa-kari-e-taKHil aur kya
hum kya hain baz-gashta tumhaari sada hain hum
zehn-e-azal mein ek tasawwur ka ihtizad
maddham si ek naghma-e-kun ki nawa hain hum
kuchh bhi nahin jo tu na ho tu hai to kya nahin
sab kuchh bhi hum hain aur jo sochen to kya hain hum
aa ai naqab-posh-e-azal aa qarib-tar
parda ulaT ke aa ki tera muddaa hain hum
kaisi talash-e-rah ki manzil mein aap hain
kaisi raja-o-bim ki KHud muddaa hain hum
Ghazal
Ai haq-sarisht aaina-e-haq-numa hain hum
Mohammad Deen Taseer