ai ham-nafaso dard ki ye raat kaDi hai
sar thame hue dil mein kahin aas khaDi hai
ham-rang-e-shafaq hai dil-e-masum ka aalam
wo daur-e-tamanna ki sahar chup ke khaDi hai
ujli thi teri yaad ki ye zard si patti
KHakistar-e-ayyam mein KHamosh paDi hai
un aankhon mein phir dekha haya rang-e-tabassum
raste mein qaza se meri phir aankh laDi hai
phir dast-e-saba ne wo gajar aaj bajaya
palkon pe phir ek bar meri nind uDi hai
phir shahr-e-ghazalan mein ghazal laya hai 'qaisar'
surat-kada-e-husn mein phir dhum paDi hai

Ghazal
Ai ham-nafaso dard ki ye raat kaDi hai
Qaisar Qalandar