ai duniya tere raste se haT jaenge
aaKHir hum bhi apne samne DaT jaenge
hum KHud ko aabaad karenge apne dil mein
tere aankh-jazire se ab kaT jaenge
dhund se par bhi kaam karengi apni nazren
aankh ke samne se ye baadal chhaT jaenge
aaKHir Dhal jaega jiwan-rog ka suraj
hum bhi okhe-din hain lekin kaT jaenge
log hamein mahsus karenge phul aur tare
aur hum sochti dil-ankhon mein baT jaenge
dekhna aisi raat bhi aaegi jab 'aKHtar'
dhire dhire hum taron se aT jaenge
Ghazal
Ai duniya tere raste se haT jaenge
Akhtar Shumar