اردو हिंदी
Ai dost talattuf sin mere haal kun aa dekh | Shaahi Shayari
ai dost talattuf sin mere haal kun aa dekh

Ghazal

Ai dost talattuf sin mere haal kun aa dekh

Siraj Aurangabadi

;

ai dost talattuf sin mere haal kun aa dekh
sine ki agan mehr ke pani sin bujha dekh

sadiq hun mujhe bul-hawas ai jaan tun mat jaan
shamshir-e-taghaful dil-e-zaKHmi pe chala dekh

pyasa hun teri tegh ke pani ka har ek dam
bawar nahin ye baat to yak-bar pila dekh

mujh aah ki garmi sin jhaDe phul chaman ke
ai sarw-e-gulistan-e-ada bagh mein ja dekh

banda hun tera KHwah karam KHwah jafa kar
jis tarz tere shauq mein hue mujh kun jala dekh

naqd-e-dil-e-KHalis kun meri qalb tun mat jaan
hai tujh kun agar shubah to kas dekh tapa dekh

tujh lab ke tabassum mein hai ejaz-e-masiha
ai jaan-e-'siraj' is dil-e-be-jaan kun jala dekh