ai dost main KHamosh kisi Dar se nahin tha
qail hi teri baat ka andar se nahin tha
har aankh kahin daur ke manzar pe lagi thi
bedar koi apne barabar se nahin tha
kyun hath hain KHali ki hamara koi rishta
jangal se nahin tha ki samundar se nahin tha
ab us ke liye is qadar aasan tha sab kuchh
waqif wo magar sai mukarrar se nahin tha
mausam ko badalti hui ek mauj-e-hawa thi
mayus main 'bani' abhi manzar se nahin tha
Ghazal
Ai dost main KHamosh kisi Dar se nahin tha
Rajinder Manchanda Bani