ai dil samaaton pe sitam ki duhai de
is be-karan sukut mein kuchh to sunai de
ye wasf bhi kamal-e-junun aashnai de
har aaine mein ek wahi surat dikhai de
main bhi to rang-o-bu ka tamasha karun kabhi
qudrat mere chaman ko bhi jalwa-numai de
dil ki basaraton ka ye ejaz hai ki main
aankhen bhi band rakkhun to rasta dikhai de
har samt zindagi ka hai mela laga hua
lekin har aadmi yahan tanha dikhai de
Ghazal
Ai dil samaaton pe sitam ki duhai de
Nikhat Barelvi