ai dil na sun afsana kisi shoKH hasin ka
na-aqibat-andesh rahega na kahin ka
duniya ka raha hai dil-e-nakaam na din ka
is ishq-e-bad-anjam ne rakkha na kahin ka
hain tak mein ek shoKH ki duz-dida nigahen
allah nigahban hai ab jaan-e-hazin ka
haalat dil-e-betab ki dekhi nahin jati
behtar hai ki ho jae ye paiwand zamin ka
go qadr wahan KHak bhi hoti nahin meri
har waqt tasawwur hai magar dil mein wahin ka
har aashiq-e-jaan-baz ko Dar ai sitam-ara
talwar se baDh kar hai teri chin-e-jabin ka
kuchh saKHti-e-duniya ka mujhe gham nahin 'ahsan'
khaTka hai magar dil ko dam-e-baz-pasin ka
Ghazal
Ai dil na sun afsana kisi shoKH hasin ka
Ahsan Marahravi