ai dil na kar tu fikr paDega bala ke hath
aaina ho ke ja ke lag ab dilruba ke hath
paigham dard-e-dil ka mere ghuncha-lab sati
pahuncha sakega kaun magar dun saba ke hath
main ab gila jahan mein beganon sin kya karun
jina hua muhaal mujhe aashna ke hath
dena nahin hai shisha-e-dil sang-dil ke tain
dije agar ye dil to kisu mirza ke hath
aazad ho raha hun do aalam ke qaid sun
mita laga hai jab satin muj be-nawa ke hath
tabe raza ka us ki azal sin kiya mujhe
chalta nahin hai zor kisun ka qaza ke hath
'hatim' ummid haq pe na rakhe to kya kare
mauquf hai milap sajan ka KHuda ke hath
Ghazal
Ai dil na kar tu fikr paDega bala ke hath
Shaikh Zahuruddin Hatim