ai dil-e-dard-ashna husn se rasm-o-rah kar
ishq hai bais-e-najat shauq se to gunah kar
lutf bhi gah-gah kar zulm bhi be-panah kar
jaise bhi tujh se ho sake mujh se magar nibah kar
mere sawal-e-wasl par aaj wo mujh se kah gae
tu abhi chand rose aur hijr mein aah aah kar
husn tere huzur KHud aae ba-iztirab-e-dil
ai dil-e-dard-ashna aisi bhi ek aah kar
shauq hai gar waqar ka gulshan-e-rozgar mein
phulon ke sath hi 'aziz' kanTon se bhi nibah kar
Ghazal
Ai dil-e-dard-ashna husn se rasm-o-rah kar
Aziz Warsi