اردو हिंदी
Ai dil aata hai chaman mein wo sharabi tu pahunch | Shaahi Shayari
ai dil aata hai chaman mein wo sharabi tu pahunch

Ghazal

Ai dil aata hai chaman mein wo sharabi tu pahunch

Waliullah Muhib

;

ai dil aata hai chaman mein wo sharabi tu pahunch
le ke piyala gul ka ghuncha ki gulabi tu pahunch

bhar ke saghar kijiye KHali gham-e-dauran se dil
ab na kar taKHir ai saqi shitabi tu pahunch

pahne qasid jab talak yak-bar sharh-e-ishtiyaq
le kar ai betab dil ki iztirabi tu pahunch

KHwahish-e-dil hai ki kije sair-e-aqlim-e-junun
Tuk madad ko us ki ai KHana-KHarabi tu pahunch

jae hai tanha shab-e-tarik mein wo mehr-wash
aah-e-atish-bar le kar mahtabi tu pahunch

ta na phir shair likhen tausif-e-baala-e-butan
misra-e-mauzun-o-sher-e-intiKHabi tu pahunch

jalwa-farma aaj hai taKHt-e-chaman par shah-e-gul
le kar ai paik-e-saba chatr-sahabi tu pahunch

musht-e-KHak apni ko aalam mein na zaea kar aziz
hind se le ta-najaf ai bu-turabi tu pahunch

ai 'muhib' KHwahish gazak ki ho jo is mai-KHwar ko
hai tera sina to dukan-e-kababi to pahunch