ai dida-e-giryan kya kahiye is pyar-bhare afsane ko
ek shama jali bujhne ke liye ek phul khila murjhane ko
main apne pyar ka dip liye aafaq mein har-su ghum gaya
tum dur kahin ja pahunche the aakash pe ji bahlane ko
wo phul se lamhe bhaari hain ab yaad ke nazuk shanon par
jo pyar se tum ne saunpe the aaghaz mein ek diwane ko
ek sath fana ho jaane se ek jashn to barpa hota hai
yun tanha jalna Thik nahin samjhae koi parwane ko
main raat ka bhed to kholunga jab nind na mujh ko aaegi
kyun chand sitare aate hain har raat mujhe samjhane ko
Ghazal
Ai dida-e-giryan kya kahiye is pyar-bhare afsane ko
Qateel Shifai