ai dard-e-ishq tujh se mukarne laga hun main
mujh ko sambhaal had se guzarne laga hun main
pahle haqiqaton hi se matlab tha aur ab
ek aadh baat farz bhi karne laga hun main
har aan TuTte ye aqidon ke silsile
lagta hai jaise aaj bikharne laga hun main
ai chashm-e-yar mera sudharna muhaal tha
tera kamal hai ki sudharne laga hun main
ye mehr-o-mah arz-o-sama mujh mein kho gae
ek kaenat ban ke ubharne laga hun main
itnon ka pyar mujh se sambhaala na jaega
logo tumhaare pyar se Darne laga hun main
dilli kahan gain tere kuchon ki raunaqen
galiyon se sar jhuka ke guzarne laga hun main
Ghazal
Ai dard-e-ishq tujhse mukarne laga hun main
Jaan Nisar Akhtar