ai but jafa se apni liya kar wafa ka kaam
bandon ke kaam aa ki yahi hai KHuda ka kaam
kis ja tha qasd shauq ne pahuncha diya kidhar
kahte na the Thagon se na le rahnuma ka kaam
kahta hai dil suna mujhe gesu ki dastan
aaj us ne sar pe Dal diya hai bala ka kaam
tasir ko na aah se puchhun to kya karun
kyun KHud uTha liya dil-e-be-muddaa ka kaam
apni si tu to kar unhen phir iKHtiyar hai
sunna hai un ka kaam pahunchna dua ka kaam
sine mein dagh khilte hi jate hain har nafas
ab apni sans karti hai baad-e-saba ka kaam
musa faqat na the tere aaina-daron mein
isa bhi karte the lab-e-mojiz-numa ka kaam
har raat apni aankhon ko rona hai farz-e-ain
taat-guzar karte hain jaise KHuda ka kaam
tha bhi zalil husn ki sarkar mein ye dil
kam-baKHt ko supurd hua iltija ka kaam
ai 'shad' meri saKHt-zabani pe hai KHamosh
naseh bhi ab to karne laga ambiya ka kaam
Ghazal
Ai but jafa se apni liya kar wafa ka kaam
Shad Azimabadi