اردو हिंदी
Ai bujhe rangon ki sham ab tak dhuan aisa na tha | Shaahi Shayari
ai bujhe rangon ki sham ab tak dhuan aisa na tha

Ghazal

Ai bujhe rangon ki sham ab tak dhuan aisa na tha

Rajinder Manchanda Bani

;

ai bujhe rangon ki sham ab tak dhuan aisa na tha
aaj ghar ki chhat se dekha aasman aisa na tha

kab se hai girte hue patton ka manzar aankh mein
jaane kya mausam hai KHwabon ka ziyan aisa na tha

koi shai lahra hi jati thi fasil-e-shab ke par
dur ufuq mein dekhna kuchh raegan aisa na tha

peD the sae the pagDanDi thi ek jati hui
kya ye sab kuchh KHwab tha sach-much yahan aisa na tha

fasla kam karne wale raste shayad na the
ab to lagta hai safar hi darmiyan aisa na tha

dil ki tha mail bahut viran jaziron ki taraf
ye hawa aisi na thi ye baadban aisa na tha

koi gosha KHwab ka sa DhunD hi lete the hum
shahr apna shahr 'bani' be-aman aisa na tha