ai bad-guman tera hai guman aur ki taraf
mera tere siwa nahin dhyan aur ki taraf
nawak mujhe raqib ko barchhi lagaiye
tir us taraf chale to sinan aur ki taraf
mujh ko suna ke ghair ke upar palaT piro
palTo jo guftugu mein zaban aur ki taraf
hur-o-pari pe kya hai hamara siwae yar
dil aur ki taraf hai na jaan aur ki taraf
ghar dil mein tu hamare KHuda ke liye na le
ai KHanuman-KHarab makan aur ki taraf
hum faqa-mast rizq-e-muqaddar pe shad hain
bheje KHuda taam ke KHwan aur ki taraf
urdu mein 'mushafi' ko bhi ustad kah ke 'shad'
aawaza kas gaya ye jawan aur ki taraf
Ghazal
Ai bad-guman tera hai guman aur ki taraf
Shad Lakhnavi