ai aasman karam itna zamin par kar de 
sameT le sabhi tarikiyan sahar kar de 
kisi se qissa-e-shahr-e-tilism kah na sakun 
ilahi be-his-o-be-nutq-o-be-basar kar de 
tamam-umr hum ek dusre se mil na saken 
safar judai ka itna tawil-tar kar de 
hanuz chir-haran ka hai silsila jari 
koi krishn-kanhaiya ko ye KHabar kar de 
ye KHushbuon ki qaba gul ki chhanw us ke liye 
'munir' ke liye maKHsus dopahar kar de
        Ghazal
Ai aasman karam itna zamin par kar de
Muneer Saifi

