ai aah teri qadr asar ne to na jaani
go tuj ko laqab hum ne diya arsh-makani
yak KHalq ki nazron mein subuk ho gaya lekin
karta hun main ab tak teri KHatir pe girani
Tuk dida-e-tahqiq se tu dekh zuleKHa
har chah mein aata hai nazar yusuf-e-sani
mamur hai jis roz se virana-e-duniya
har jins ke insan ki ye maTi gai chhani
ek wamiq-e-nau ka hai samajh chaak gareban
karti hai jo raKHna koi diwar purani
bulbul hi sisakti na thi kuchh bagh mein tujh bin
shabnam gulon ke munh mein chuwati rahi pani
hai gosh-zada KHalq mera qissa-e-jaan-kah
jab se ki na samjhe tha tu chiDiya ki kahani
jun shama mujhe sharm hai zunnar ki ai shaiKH
mala na japun raat ko be-ashk-fishani
jis samt nazar mauj-e-sarab aawe to ye jaan
howegi kisi zulf-e-chalipa ki nishani
kya kya mile laila-manshan KHak mein 'sauda'
go apne bhi mahbub ki dekhi na jawani
Ghazal
Ai aah teri qadr asar ne to na jaani
Sauda Mohammad Rafi