اردو हिंदी
Ahl-e-ulfat ke hawalon pe hansi aati hai | Shaahi Shayari
ahl-e-ulfat ke hawalon pe hansi aati hai

Ghazal

Ahl-e-ulfat ke hawalon pe hansi aati hai

Sudarshan Faakhir

;

ahl-e-ulfat ke hawalon pe hansi aati hai
laila majnun ki misalon pe hansi aati hai

I scoff at stories of sincerity
I mock the models of fidelity

jab bhi takmil-e-mohabbat ka KHayal aata hai
mujh ko apne hi KHayalon pe hansi aati hai

when thoughts of love's fulfillment arise
my thoughts are a source of mirth to me

log apne liye auron mein wafa DhunDte hain
un wafa DhunDne walon pe hansi aati hai

By those hapless seekers I'm amused
That in others, look for constancy

dekhne walo tabassum ko karam mat samjho
unhen to dekhne walon pe hansi aati hai

Favours, do not think her smiles to be
she mocks them all who look on hopefully

chandni raat mohabbat mein hasin thi 'fakir'
ab to bimar ujalon pe hansi aati hai

Starry nights, in love, brought me joy
I now just smile at daylight's frailty